Sunday, October 26, 2008

sukh dukh ki do baatein

saawan ki ladiyon mein uljha
ek khat sa nazar aa raha hain
sukh kam dukhi kisson se suljha
ajeeb aur tanhaa tadapta nazar aa raha hain...

chandh chuninda jazbaat us mein
ardh khuley bakhson se padey hain
sukh kam dukhi kisson se in mein
naye puraane dard bhartey nazar aa rahey hain...

judey dil tootey hain aaj
mehfil adhoori hain berang
kaanch se waade phootey hain aaj
koi nahin aaj kisi ke sang

raat bhar aansoon behtey rahengey
kyariyon se dard fisal na jaaye jab tak
suraj dooba hain kitney pehron se
andhiyaara nahin dhalega tab tak........




suraj dooba hain itney pehron se
andhiyaara nahin dhalega tab tak...





~
october 25,08

No comments: