Saturday, October 11, 2008

patjhad

Patjhadh ki rutu kab kaise aayi
neend khuli nazraana hi badal gaya

Raaz bataun?
Khwaab toot tey taarein hain!
har subah duniya par jannat bikhri si jo milti hain

Parchhaiyion mein bhi kitney saarey rang ghuley hue hain
meri har ek saas mein uske noor ki wah wah hoti rehti hain

Dekho jaag kar soye ho agar tum bhi
Raaz bataun?
Nain bandh khidkiyaan hain!
har lamhe khul khul kar duaaein paati rehti hain

likhna mujhey agar kuch miley kal ki subah ko tumhein bhi
kehna zaroor har ek woh baat jo mehsus ho

ya toh phir likh lena bhari hui kalam se ek khaali panna
samajh jaaungi ke tumne itni khoobsurati paayi ke lafz hi mit gaye

:)

No comments: