Friday, February 29, 2008

Rudaali

woh baithi thi wahaan chaukhat par
raundhi maati se banaayi ek haseen murat ki taraah
aankhein uski kaalima ke kalank si
aankhein uski dekhne waalon ki nazar utaarti hui
aankhein uski khaarey paani se bharey ghadey
chhalak
chhalak
chhalak
kalaahiyon ko kaanch ki chudiyaan pehnaaye
zameen mein dab chukey kho chukey sapnon ko tokti hui
woh baithi thi wahaan chaukhat par
baatein uski angaaron ki ladi
baatein uski aansuon ka sangeet
baatein uski tooti tooti ankahee si

bhatakti rahi hoon aaj subah se saanjh main
is shehar ki har ek kachehri mein sukoon dhoondne gayi thi
thak chuki hoon aur sochti hoon main aaj usey
na jaaney aaj yaad aa padi hain bohot uski
woh jo baithi thi wahaan usi chaukhat par
ab milegi yahaan
mere seene ki chaukhat par

Rudaali

No comments: