Friday, February 22, 2008

kaafi umron se
yahaan
isi khidki se
chaand ki nazron mein tak-tak
ek khoobsurat jharonkha basaa kar baithi hoon main

saanson mein sehmi kahaaniyaan hain
bol gumshudaa
palkein ardh-khuli
aur chand zinda khwaishein
alhadh-si
zameen par reth mein ghuli aur mitti se dhuli

yahaan
mere iss dil mein
jaan hain
jahaan bhi
jannatein hogi zaroor ke mere rab ka basera hain yeh
na jaaney
sochti hoon
"tum jaanti ho kitna kuch aur phir bhi..."
kitni anjaan
ankahi
nadaan
poori ho jaati hain mannatein meri palak-jhapaknein par
kitna kuch hain
lekin sirf dilaasa nahin

luka chhupi khelta ek khauf sa hain
ki kya hoga
aur yeh hoga
shayad woh bhi
gar raaton ka mausam pighal gaya...toh?
ki kya hoga
aur yeh hoga
shayad woh bhi
gar pal-pal rachaayi yeh chhabi bikhar gayi...toh?

main toh heer hoon
heer hi reh gayi
koi mera raanjha na hoya
haan, rab zaroor mila
par raanjha na mila
aur rab raajha na hoye...!

doobi si hoon
khaali khaali
katre si hoon
aasmaani
boond bhi hoon
dariya bhi
ghuli hui
dhuli hui
behti hui
behti hui

neel-neel
an infinity of blue

aa rang dikha koyi naya mujhey
aa dhang dikha koyi naya mujhey

like a top, i spin through life
in circles all at the same spot
my world is a fast-motion blur
there is such oneness here
in this kaleidoscopic riot
there is music and dance
there is love and energy
there is faith and miracle
there is hurt and learning

like a top,i am spinning
dont stop me
dont stop me
dont stop me

No comments: