us na insaaf ki gali ka naam kya hain
jahaan woh bas ta hain
woh jo ishq jataana jaanta hain khoob
lekin...apni parchhaiyi ko nazar andaaz karta chalta rehta hain
dhoondta hain khuda ko aasmaanon mein
khuda ko khud ki nabz mein chupaa raha hain
woh jo ishq jataana jaanta hain bohot khoob
lekin...apni parchhaiyi ko nazar andaaz karta phirta rehta hain
arrey dekhein bhi to kabhi woh apne aap ko
in nazron mein meri
jannetein paayega apne aap mein
ke kya haseen woh shaqs hoga
jo har dagar par mohabbat se mil baith ta hain
ke kya haseen hogi uski aankhen
jiske har nazaare mein gham bhari dastaan hain
aur use woh purdah kar leta hain
phir woh ishq jataa leta hain
meri mannaton ke rang roop mein
mera farishta ban kar meri duniya mein chha jaata hain
kho jaata hain aksar apni parwaangiyon mein
na jaane kahaan se phir apna ishq jataane mere ghar aa jaata hain
khuda ka noor hain woh
use kaise kahoon main yeh
woh toh ishq ko pehchaanta hain khoob
lekin...apni parchhaiyi ko nazar andaaz karta jeeta rehta hain
~
n
No comments:
Post a Comment