dekh te rehte hain woh humein
nazar andaazi se
drama khel lete hain khoob
aur phir humaari soch mein
kuch kaafiley bhi likh dete hain
woh baat alag hain ke un kaafilon ka zikr nahin hota
woh baat alag hain ke hum bhi kabhi soch te hain unhe
aur un lamhon ko arz karna mumkin nahin lagta
drama khel lete hain khoob hum bhi
humaare kaafilein awaara kaafiley hain
humaare kaafilein kahey ankahey hi sahi
nazrein woh kya khoob hogi
jo har disha khoobsurati hi paaye
un nazron ki talaash mein phir ti rehti hoon main
aur sheeshey sang ek mulaaqat mein unhe khud hi mein paa leti hoon
No comments:
Post a Comment