Tuesday, February 24, 2009

safar ki koi choti-badi kahaani

gehri chuppi rehti hain wahaan jahaan uska basera ho

siraf raaton ko awaaz ka dariya umadta hua dikhta hain
khidkiyon ke uss paar jaise koi daastaan sulag rahi ho

darwaaze se pareh kahin anginat parchhaiyaan bikhri padi hain
aur un raatyaari parchhaiyon ke khaali ghadon ko bharne
kahin anginat tootey sitaaron ka saaya nritya rach raha hain

badi gehri chuppi rehti hain yahaan jahaan uska basera hain

is samandar mein zaroor koi rooh-e-gulaab ghula hoga
mere sapnon ke sheher mein har taraf uski mehek gawaah de rahi hain...

No comments: