Friday, April 4, 2008

Tu

Roz Roz Saanjh Aa Girti Hain Yahaan
Roz Roz Saanjh Aa Girti Hain Yahaan
Koyle Ki Dheemi Dheemi Aanch Par
Pighaltey Hue Mausamon Ki Taraah


Roshan Ho Uthtey Hain Doobey Armaan Saare
Aur Khil-Khil Jaatey Hain Saare Nazaare


Jab Neeli Neeli Siyaahiyon Se
Har Subah Har Shaam Mein
Karwatein Lete Aa Jaati Hain
Yaadein Teri


Barfili Waadiyon Ki Kahaani Tu

Aa Phir Se Zaraa Ek Baar



Khatti Meethi Koi Nishaani Tu

Aa Phir Se Zaraa Ek Baar



Roz Roz Koyal Gungunaati Hain Yahaan
Roz Roz Koyal Gungunaati Hain Yahaan
Kal-Kal Karti Nadi Ke Kinaare Par
Kisi Behti Hui Sargam Ki Taraah


Patang Sang Udaan Leti Hain Kavita Meri
Baadalon Ke Bakhson Se Le Aati Hain Khushbu Teri


Jab Neeli Neeli Siyaahiyon Se
Har Subah Har Shaam Mein
Karwatein Lete Aa Jaati Hain
Yaadein Teri


Rangeeley Phoolon Si Suhaani Tu

Aa Phir Se Zaraa Ek Baar


Ankahey Bol Ki Zubaani Tu

Aa Phir Se Zaraa Ek Baar




~


© Devotica,2008

No comments: