Tuesday, March 25, 2008

bhatkan

saanjh giri hain
ghar aa chuka hain mera
maqaam ka pata mil nahin raha
rail ki pathri raftaar sang sheher se gumshuda ho chuki hain
main dar-badar bhatkan mein apni zindagi guzaar rahi hoon

saanjh ko dubo kar
phir uthegi lehraati subah
maqaam apne paauon par aakar meri palkon par shamiyana banayega
rail ki pathri sang magan magan ho main sansaar se mulaqaatein karungi
main dar-badar bhatkan mein apni saari zindagi guzaar dungi


~ devotica,2008

No comments: